Nasir Kazmi
Dec 7 7:39pm 2003 www.desi-planet.com
Woh dil nawaz hai magar nazr shanas nahin
Mera Ilaj meray chara gar kay paas nahi
Tarap rahay hain zaban par kaee sawal magar
Meray liyay koi shayan-e-Iltamas nahin
Teray jaloo main bhi dil kanp kanp uthta hai
Meray mizaj ko aasodgi bhi raas nahin
Kabhi kabhi jo teray qurb main guzaray thay
Ab un dinoon ka tasawur bhi meray paas nahin
Guzar rahay hain ajab marhaloon say deeda o Dil
Sehar ki aas tu hai zindagi ki aas nahi
Mujhay yeh dar hai teri aarzo na mit ja.a
Bohat dinoon say tabiat meri udass nahin

0 Comments:
Post a Comment
<< Home