o

Sunday, May 21, 2006

Mohsin Naqvi

Abhi kiya kahayn , abhi kiya suna.ain
Youn hi Khuwahi.shon kay fishar mai
Kabhi bay sabab , Kabhi bay khalal
Kahan kon kis say bichar gaya
Kisay kis nay kaisay gunwa diya

Kabhi phir milayn tu pochna

Mohsin Naqvi

kuch aur der na jhar.taa udaasiyo.n ka shajar
kisay Khabar tere saa.ye mai.n kaun baith.ta hai

Mohsin Naqvi

Hamara kyaa hai Hamara kiya hai , kay ham tu chiragh e shab ki tarhaan
Agar jalay bhi tu bas itni roshni hoo gi

Kay jaisay ghup an.dhayroon ki rah mai
JugnuZara si deer ko chamkay, chamak kay kho ja.a

Phir uss kay baad kisi ko na kuch sujha.ee day
Na shab ka.tay na suragh e sahar dikhaee day

Hamara kiya hai kay ham tu pas e ghubar e safar
Agar chalay bhi tu bas itni rah tay hoogi

Kay teez hawa.oon kay zard ma.il naqsh e Qadam
Zara si deer ko ubh.ray , ubhar k mit ja.a

Phir uss k baad na rasta, na rah guzar milay
Hadd e nigah tak dasht e bay kinar milay

Hamari simt na deekho kay koi deer mai Ham
Qabila e dil o jaan juda hoonay walay hain B

asay basa.aa shehar apni aan.khoon kay
Misal e Khana e Veeran Ujarnay walay hain

Hawa ka shor ye hi hai tu deekhtay rehna
Hamari umar k khemay ukharnay walay hain

Saturday, May 20, 2006

John Aelia

Khamoshi keh rahi hai kaan mai.n kya
Aa rahaa hai meray Gumaan mai.n kya


Ab mujhay ko.ee Tok.ta bhi nahi
yahi hotaa hai khanadan mai.n kya


Bolate kiyu.n nahi.n mere haq mai.n
Aab.lay par gay.e zubaan mai.n kyaa


Meri har baat bay-asar hi rahi
Nuqs hai kuch meray bayaan mai.n kya


Vo mile tu ye pooch.na hai mujh.e
Ab bhi hoo.n mai.n teri amaan mai.n kya

Sham hi say dukaan-e-deed hai ban.d
Nahi.n nuqsan tak dukaan mai.n kyaa


Youn jo tak.taa hai aasman ko tu
Ko.ee rehta hai aasman mai.n kya


Ye mujhe chay.n kyu.n nahi.n par.ta
Aik hi shakhs tha jahan mai.n kyaa
Khamoshi keh rahi hai kaan mai.n kya
Aa rahaa hai meray Gumaan mai.n kya


Ab mujhay ko.ee Tok.ta bhi nahi
yahi hotaa hai khanadan mai.n kya


Bolate kiyu.n nahi.n mere haq mai.n
Aab.lay par gay.e zubaan mai.n kyaa


Meri har baat bay-asar hi rahi
Nuqs hai kuch meray bayaan mai.n kya


Vo mile tu ye pooch.na hai mujh.e
Ab bhi hoo.n mai.n teri amaan mai.n kya

Sham hi say dukaan-e-deed hai ban.d
Nahi.n nuqsan tak dukaan mai.n kyaa


Youn jo tak.taa hai aasman ko tu
Ko.ee rehta hai aasman mai.n kya


Ye mujhe chay.n kyu.n nahi.n par.ta
Aik hi shakhs tha jahan mai.n kyaa

Friday, May 19, 2006

Chiragh Hassan Hasrat


Na kam tamana dil iss soch mai rehta hai
Youn hoota tu kiya hoota , youn hoota tu kiya hoota