o

Sunday, May 21, 2006

Mohsin Naqvi

Hamara kyaa hai Hamara kiya hai , kay ham tu chiragh e shab ki tarhaan
Agar jalay bhi tu bas itni roshni hoo gi

Kay jaisay ghup an.dhayroon ki rah mai
JugnuZara si deer ko chamkay, chamak kay kho ja.a

Phir uss kay baad kisi ko na kuch sujha.ee day
Na shab ka.tay na suragh e sahar dikhaee day

Hamara kiya hai kay ham tu pas e ghubar e safar
Agar chalay bhi tu bas itni rah tay hoogi

Kay teez hawa.oon kay zard ma.il naqsh e Qadam
Zara si deer ko ubh.ray , ubhar k mit ja.a

Phir uss k baad na rasta, na rah guzar milay
Hadd e nigah tak dasht e bay kinar milay

Hamari simt na deekho kay koi deer mai Ham
Qabila e dil o jaan juda hoonay walay hain B

asay basa.aa shehar apni aan.khoon kay
Misal e Khana e Veeran Ujarnay walay hain

Hawa ka shor ye hi hai tu deekhtay rehna
Hamari umar k khemay ukharnay walay hain

0 Comments:

Post a Comment

<< Home