o

Thursday, November 22, 2007

Jon Aelia

Seena dehak raha hoo tu kiya chup rahay koi
Kiyun chekh chekh kar na gala cheel lay koi

Sabit hooaa sakoon e Dil o Jaan kaheen nahin
rishtoon mai dhoondta hai tu dhoonda karay koi

Tark e Taluqat koi masla nahin
Ye tu woo rasta hai k bas chal paray koi

Deewar janta tha mai jissay mai woo dhool thee
Ab mujh ko aitamad ki dawat na day koi

Mai khud ye chahta hoon k halat hoon kharab
Meray khilaf zehar ugalta phiray koi

Aa shakhs ! ab tu mujko sabhi kuch qabool hai
Ye bhi qabool hai k tujhay cheen lay koi

Haan theek hai mai apni ana ka mareez hoon
Aakhir meray mizaj mai kiyun dakhal day koi

Aaik shakhs kar raha hai abhi tak wafa ka zikr
Kash uss zaban daraz ka moo nooch lay koi

0 Comments:

Post a Comment

<< Home